BACHPAN KA ZAMANA


Bachpan ka zamana hota tha, Khushiyon ka khazana hota tha, chahat chand ko pane ki, dil titli ka diwana hota tha, khabar kuch na thi kuch subah ki shaamo ka thikana hota tha.

Thak-haar ke ana school, se par khelne bhi jana hota tha. Dadi ki kahani hoti thi, pariyon ka fasana hota tha, barish mein kagaz ki kashti thi, har mausam suhana hota tha.

Har khel mein sathi hote the, har rishta nibhana hota tha. Papa ki who dant galti par mummy ka manana hota tha, gham ki juban na hoti thi, na jakhmon ka paimana hota tha.

Rone ki wajah na hoti thin a hasne ka bahana hota tha ab nahi rahi who zindagi…
Jaisa BACHPAN KA ZAMANA HOTA THA…

Comments

  1. BACHPAN ME IMANDAARI NA KISI KO DHOKHA DENA
    AB SIRF KYA HAI APNE ANDER JAKHO JI

    ReplyDelete
  2. bachpan sababe haseen hota hai...bachpan Bachpan hota hai..

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Unveiling the Rising Stars: Film Production Development in Uttar Pradesh

Unlocking the Future of Filmmaking in India: The Rise of AI

Managing Film Professional Manpower in Uttar Pradesh: Challenges and Solutions