Posts

Showing posts from June, 2010

BACHPAN KA ZAMANA

Image
Bachpan ka zamana hota tha, Khushiyon ka khazana hota tha, chahat chand ko pane ki, dil titli ka diwana hota tha, khabar kuch na thi kuch subah ki shaamo ka thikana hota tha. Thak-haar ke ana school, se par khelne bhi jana hota tha. Dadi ki kahani hoti thi, pariyon ka fasana hota tha, barish mein kagaz ki kashti thi, har mausam suhana hota tha. Har khel mein sathi hote the, har rishta nibhana hota tha. Papa ki who dant galti par mummy ka manana hota tha, gham ki juban na hoti thi, na jakhmon ka paimana hota tha. Rone ki wajah na hoti thin a hasne ka bahana hota tha ab nahi rahi who zindagi… Jaisa BACHPAN KA ZAMANA HOTA THA…

Lucknow Naye Gaurav ki or...avi

Ummedon ki batein...avi

Meri Bhi Suno--Music Video.avi